Ye chaahat naa hoti muhabbat naa hoti,
Ye sahmi si dil ki ye hasrart na hoti
Khayalon ko teri zaroorat naa hoti,
Sawaalo mein teri izaazat naa hoti
Naa hoti yoon dil ko lagane ki khwahish,
Naa hoti yoon dil ko churaane ki saazish
Naa nazarein churaate naa daaman churaate,
Naa hoti tere paas aane ki khwahish
Subah shaam sazde naa karte tumhaare,
Naa karte wafaa ke liye sabra saare
Naa hoti shab - e ghum shab - e aam hoti,
Naa dil ki ye hasrat tere naam hoti
Naa khushboo tumhaari fizaaoon mein udati,
Naa zulfoon se rangeen ye shaam hoti
Muhabbat naa hoti ye nafrat naa hoti,
Ye rangat humaari naa yoon tamaam hoti
Ajooba hai fir bhi muhabbat kari hai,
Ke nafrarat se badhkar ye chaahat kari hai
Tumhe aaj ho naa ho hai ye hakiquat,
Ke zannat se badhkar ye hasrat kari hai
Agar mil gaye tum to allah hi allah,
Hardam pukaara karega mera dil
Nahi gar mile to kya allah kya mandir,
Naa jaane kahan din gujaara karenge.
5 comments:
Nice!!
again a god one.....yaar itni achhi achii rachnayein likhte rahoge toh ek din compliments bhi kam pad jayenge......:)
Wowwww.... how do u manage to write so beautifully. It feels nice to read your thoughts. :)
good one..
Post a Comment