Friday, September 21, 2007

Aahwahan

Ahwahan hai prat ka fir huaa shankhanaad se,
Ab nisha ka yah anth hai ho raha shubhaprabhat se,

Shlok phir kar rahe hain watavaran anandmay,
Sugandhit punah vayu hai yah vismayi is dhoop se,

Hai rakth ranjit marg yah dhul chukka ashru prapat se,
Garjana kar fir uth rahi hai manavata is aaghat se,

Shatru bhayakrant hai dekh haath fir is haath mein,
Vichalit hui Ashanti fir hai gaganbhedi shaanti se,

Vibhatsya tha wah pristh vikaral kaal kapaal sa,
Prachanda dhwani ati ugra vikchipt man aaghat se,

Tha vayumandal surkh sooryasth ke us rang sa,
Tha yah drishyankan us swarg ke mohbhang sa.

Bhj rahi thi ghantiyan asankya par tha ek sur,
Kar rahe jan archana tha prarthana ka ek swar,

Par ek nar kunthit vicharon se pradarshit maarg par,
Kar gaya dooshit swarg ko aashankit ek aadhaar par.