Sunday, June 24, 2007

Wo kahte hain

Wo kahte hain kavita likhna,
Mere is hriday ka vedan hai.

Wo kahte hain mere shabdon mein,
Teri aakhon ka sanvedan hai.

Yoon smarit hue ho tum is pal,
Man vyakul hai man hai chanchal.

Ab shabdkosh bhi rikt huaa hai,
Abhivyakti ka uttejan hai.

Wo kahte hain kavita likhna
Tum bin ab mera jeevan hai.

Wo kahte hain meri saanse,
Tere jeevan par arpan hain.

Mera yah jeevan dhanya huaa,
Yadi choo paaoon pratibimb tera.

Tumhe paane ki abhilaasha nahin,
Shat janmon tak abhinandan hai.

Thursday, June 21, 2007

Main rashmirathi kaa aalingan kar

Main rashmirathi kaa aalingan kar,
Swatah pran taj jaaoonga,

Watvriksh lata ka anubandhan kar,
Utkrishta samapan paaunga,

Nirvighna pratarit hone se,
Sharshaiya kendra mein sone se,

Vichalit is man ke prashno ka,
Uttar naa khoj kar laaoonga,

Yadi prashna tha mere man harshan ka,
Aakarshan ka pratikarshan ka,

Jis marg pe laherein saath bahi ho,
swapn mein usase kataraoonga,

Vichalit jo kiya tha hriday tumhara,
Parichit prashno ka uchcharan kar,

Vish ke pyale ko samajh sudha main,
kanth samahit kar jaaoonga,

Main rashmirathi kaa aalingan kar,
Swatah pran taj jaaoonga.

Monday, June 18, 2007

Yadi main hota ek neelkanth

Yadi main hota ek neelkanth,
tum saavan hote mere,

yadi main hota ek vaadya yantra,
sangeet aur sur tere,

yah faagun ritu ati madhurim hai,
kshan romaanchit kshan harshit hai,

yadi main hota ek shwet pankh,
Tum pavan ke naajuk jhonke,

Taaron ki chavi ati dhoomil hai,
Par ek tara ati chanchal hai,

wah saaykaal kaa ek pal hai,
jab mand baya ati sheetal hai,

yadi main hota wah saaykaal,
to chandraprabha tum mere.

Sunday, June 17, 2007

Aakroshit ho naa karo man ko

Aakroshit ho naa karo man ko,
yah mahashorya ka vesh nahin,

kunthit man ki abhivyakti hai,
yah paramveer ka rosh nahin,

Udwalit man yadi raktpaat se,
Maanavata koi shesh nahin,

tum karo sristi ka srijan naya,
Isase paavan uddeshya nahin,

Man krodhit hai Aatankit hai,
Us kshay ka bhi hai rosh abhi,

priyabandhu ne aahuti di hai,
Jisme unka uddeshya nahin,

yah mahatrasadi anth nahin,
yah samay ka ek nivedan hai,

smarit prishth yah karke tum,
badh jaao apni raah nayi.