Sunday, June 17, 2007

Aakroshit ho naa karo man ko

Aakroshit ho naa karo man ko,
yah mahashorya ka vesh nahin,

kunthit man ki abhivyakti hai,
yah paramveer ka rosh nahin,

Udwalit man yadi raktpaat se,
Maanavata koi shesh nahin,

tum karo sristi ka srijan naya,
Isase paavan uddeshya nahin,

Man krodhit hai Aatankit hai,
Us kshay ka bhi hai rosh abhi,

priyabandhu ne aahuti di hai,
Jisme unka uddeshya nahin,

yah mahatrasadi anth nahin,
yah samay ka ek nivedan hai,

smarit prishth yah karke tum,
badh jaao apni raah nayi.

9 comments:

Ravish said...

jabardast.
likhte raho rocket bhai, hum padhte rahenge.

Girish said...

fundu hai dheer bhai "think big write big"

Unknown said...

I think you should also provide some sort of an explaination for each line.... :) I mean sabki hindi aap jaisi to nahi ho sakti na.... !!!!

Unknown said...

Saahi jaa rahe ho bhidu ... lage raho ... saath mein hindi ki paathshala khol do :)

Vijay said...

kaviwarya dhiraj , aapki kavita padh ke mera mann "aatankit" ho gaya.

Deepti said...

well written....
really very nice yarr....
bahut dino baad hindi mein kuch achaa padhne ko milaa....
thoght behind this is really very good....
likhte raho esi tarah....
hope ur next"rachna" will come soon...

Deepti said...
This comment has been removed by a blog administrator.
Ankur said...

sahi hai roy...dictionary kahan hai ;)

Sachin_Longani@ITBHU said...

Sometimes I really cant help believing in the fact "software engineers remain busy from morning till late night"....u proved it again...ppl plz take it otherwise bcoz dheeraj has gone crazy!!!