Thursday, June 21, 2007

Main rashmirathi kaa aalingan kar

Main rashmirathi kaa aalingan kar,
Swatah pran taj jaaoonga,

Watvriksh lata ka anubandhan kar,
Utkrishta samapan paaunga,

Nirvighna pratarit hone se,
Sharshaiya kendra mein sone se,

Vichalit is man ke prashno ka,
Uttar naa khoj kar laaoonga,

Yadi prashna tha mere man harshan ka,
Aakarshan ka pratikarshan ka,

Jis marg pe laherein saath bahi ho,
swapn mein usase kataraoonga,

Vichalit jo kiya tha hriday tumhara,
Parichit prashno ka uchcharan kar,

Vish ke pyale ko samajh sudha main,
kanth samahit kar jaaoonga,

Main rashmirathi kaa aalingan kar,
Swatah pran taj jaaoonga.

1 comment:

Ravish said...

brilliant..aur kuch tippani ke lie shabdon ki akshamta ko main samajh pa raha hoon.

Cheers,