Tuesday, October 16, 2007

Tamanna

Tamanna kar loon tujhe pane ki Gar Izazat ho teri.
Aaina dhoondh wo laaoon jisme soorat ho teri,

Dil bahakta hai teri saans ke choo jaane se.
Nigahband kar loon tujhe Gar tu ibadat ho meri.

Saans lena bhi teri aas ke bin mushkil hai.
nabz chalna tere ehsaas, ke bin mushkil hai.

yu to jeeta hoon main, kahne ke liye e kafir.
main bhi peena wo teri pyas ke bin mushkil hai.

Aur tum kahte ho ke Zindagi yoon guzar jaayegi ...

Zindagi yoon guzar jaayegi bataya bhi nahin.
tabassum chookar guzar jaayegi jataya bhi nahin.

dekhta aks tera main ye jaanane ke liye.
hai teri aankh mein utra mera saaya ke nahin.

roobaroo hona mere ishq ki guzarish hai,
saath chalna wo tere husn ki navazish hai.

rooh se rooh ka milna bandagi hogi,
Gam-e-dil aaj mein lekar yahan aaya bhi nahin.

Saturday, October 13, 2007

sirf teri yaad aa rahi thi!

woh maagh ki ek raat thi,
chandni apne chaand ke saath thi,

kuhra kuch tarah chaa raha tha,
ke kchitij ko main apne aur nazdeek paa raha tha,

chai ke pyale se uthta dhunaa bhi,
us badhti huii sardi ka ehsaas kara raha tha,

kapkapate badhte kadmo ko fir bhi ye ehsaas hai,
ke aane waali manzil liye ek garmi ka ehsaas hai,

baglon mein dabe hue haath yoon machal rahe the,
jaise hum unhe pahli baar choone ko chal rahe the,

aankhon se tapakti wo boondein
hoothon ko mom ki tarah pighla rahi thi,

halki si chalti hawa meri gardan se hokar
meri rooh tak jaa rahi thi,

fir bhi har lamha har pal har uthte kadam ke saath
mujhe sirf teri yaad aa rahi thi,

sirf teri yaad aa rahi thi!