Monday, June 18, 2007

Yadi main hota ek neelkanth

Yadi main hota ek neelkanth,
tum saavan hote mere,

yadi main hota ek vaadya yantra,
sangeet aur sur tere,

yah faagun ritu ati madhurim hai,
kshan romaanchit kshan harshit hai,

yadi main hota ek shwet pankh,
Tum pavan ke naajuk jhonke,

Taaron ki chavi ati dhoomil hai,
Par ek tara ati chanchal hai,

wah saaykaal kaa ek pal hai,
jab mand baya ati sheetal hai,

yadi main hota wah saaykaal,
to chandraprabha tum mere.

6 comments:

Unknown said...

Good one bhidu. Sawan aa gayi ... neelkanth miya ... nanchne ke liye tyar ho jao. Give this to some one (girl) from north India ... definitely life will be easier for you :)

Unknown said...

Hey this is a really good poem and also much simpler to understand :)
Keep going...

Desh Premi said...

Bahut acchi poem hai.Really good one. Words sellecton n rythem are really cool. ese he likhte raho..

Vijay said...

Yadi hote tum Neelkantha , to ped ki tehani pe baithkar gana gate..
Aur kisi sunder si neelkanthi ka mann rizate.
Yadapi , tum nahi ho Neelkanth , kathin shabdo main fase huye "yantra".
Kavitaye thumhari acchi hai , bhavnaye badi sachhi hai.

Ravish said...

sir ji...kisse ijahaar kia hai apne...saundarya ras se paripoorna kavita likhi hai apne.

Nice one. Keep writing.

Cheers,

Dheeraj said...

guys thanks for all you appreciation ... I realy need it to keep myself going ... aage bhi mera ye attyachaar(writing) jaari rahega :)