Thursday, May 22, 2008

Main Akela hi chala tha jaanibe manzil magar ...

Main Akela hi chala tha jaanibe manzil magar ...


Zindagi ke kuch aise lamhe jo yaadon mein bas jaate hai
Dost kahte hain ke ye humesha yaad aate hain ,

Nadi ke us paar subah ke dhoop mein chamakti ret ki kiranein
Fir baahein pasaar mujhko apne paas bulaati hain

Patjhar ki raahon mein bikhare wo kuch sookhe se peele se patte
Aaj bhi kaanon ke paas aakar kuch kah jaate hain

Khushboo manbhawan si us subah ki os ki
Jiski narmi mein sab kuch bhool jaane ko jee karta tha

Syaah raat mein raahon ko roshan karta juganuon ka kaafila
Aaj bhi raahon ki zagmagaht mein ubhar aata hai

Pal wo gujar chuke hain saathi wo bikhar chuke hain
Par raaste naye aur manzilein nayi har roz banana yaad aata hai

Aaj bhi ek mod par rukakar raah par baith jaaya karta hoon
Is intjaar mein ke koii to aayega waapis in raasto par kabhi

Yoon hi bina baat ke jhagde karega mujhse naaraj hoga, hasega,
Hasaayega fir rulaayega mujhe

Manzil ki or to nikal chuka hoon main raahon mein kaii meel
Par kya wo lamha koii lauta paayega mujhe ???

2 comments:

Ravish said...

Tanha Dil Tanha Safar...;)

Bahut khoob!

Cheers!!

niketa said...

vey bful lines...
the time which is gone ..never comes back..sirf yaadien reh jati hai