Sadiyon se jaanta hoon tumhe par jaanta nahin hoon main,
Chehra to palkon par drishyankit hai par pehchanta nahin hoon main,
Ek vichar vyakt karne se pehle sochta hoon kayi baar,
Na jaane kyun kya sochkar tum kar naa do ise asweekar,
Ek bhay sa rehta hai tumhe dukh pahunchaane ka,
Aaj kho dena ka aur fir kabhi naa paane ka,
Ek naazuk si dor jo reh gayi hai humaare darmiyaan,
Uske yoon achanak chatak kar toot jaane ka,
Milte hain to aankho mein kayi kayi sawaal hote hain,
Wakyon aur shabdo mein kayi ankahe antaraal hote hain,
Duniya jaahaan ki baatein hoti hai par,
Dil mein tumhaare hi khaayaal hote hain,
Chale jaate ho jab tum to socha karte hain gayi raat,
Kal keh denge tumhe hum apne is naazuk se dil ki ek choti si baat,
Par naya din aata hai aur haskar muskurakar chala jaata hai,
Aur dil mein dabe vicharon ka unmaad daba ka daba reh jaata hai,