Monday, February 21, 2011

subah ka pehla khwaab !!!

Tumhare aadhe sookhe haanthon ka sparsh,
aur geele baalo se mere jism pe tapakta paani,

Kahin ye subah ka pehla khwaab to nahin!!

tumhare nange pair chalne se uthti halki si aahat,
tumhare apne badan ko pochne se hoti sarsarahat,

Tumhara haule haule se saans lena
Pahli angraaii aur aankhein band karke ubaas lena,

Tumhare marmari jism par chamakti wo paani ki boondein,
Masoom se chehre pe khilti wo muskurahat,

Kahin ye subah ka pehla khwaab to nahin!!

Ek Khwab hi to hai !

6 comments:

Deepti said...

bahut khoob..ab waqt aa gaya ki es khubsurat khwab ko haqiquat me badlne ka...:)

Aj said...

Jeo mere laal!
Mast hai, lajawab!!!

Unknown said...

bhai itne kareene se kavita likhi hai, padh k aisa lag raha hai is kavita ka practical experience tumhe recently hi hua hai......kripya prakash daala jaaye :)

Ravish said...

Prakash daalie kavivar!!

Tanwar said...

"subah ka pehla khwab" khoobsoorti se abhivyakt ki hui... gazab ke bol....very good...keep it up...

Sunitamohan said...

itna khoob likhte hain
par itna kam kyun likhte hain???