Friday, July 6, 2007

Pagalpan

Khuli dhoop mein taaron ki timtimahat ko dhoondhna ek pagalpan hai !
Samandar ki anjaan laharon mein teri ek aahat ko dhoondhana ek pagalpan hai !

Bhatakta kyun hoon darbadar tere saaye ki talaash mein main !
Jaanta hoon main ke bahakti hawaon ko dhoondhana ek pagalpan hai !

Khudkushi kyun karoon jaanta hoon ke jab main zinda hi nahin !
Rooh meri hai wo jaati hui falak ke paar, udta huaa koii parinda wo nahin !

Tum aaoge, muskuraaoge, meri saanson ko choo kar chale jaaoge !
Is khushfahmi mein yoon mera din ba din jiye jaana ek pagalpan hai !

par main kahna chaahta hoon ...

jhilmil jhilmil jaisi aati chapal hansini jaisi tum ho!
jeevan mein ullaas jagati mridul mohini jaisi tum ho!

rang bhar rahi ho jeevan mein tum, sang chal rahi ho rahon mein tum !
moorchit pakchi ko udne ka ehsaas karane jaisi tum ho!

phoolon mein rang bharne waali julf teri hain ghatayein kaali !
oorja ka ehsaas tumhi ho jeevan ki badhti pyaas tumhi ho !

par tere ehsaas aur is pyaas ko yoon badhne dena ek paagalpan hai !
saanse tujhpar arpan karne ka vichar ek paagalpan hai !

6 comments:

Ravish said...

is rog ka ilaaj nahi,
shayad ye pagalpan hai hi nahi,
kehte hai log mohabbat ise,
jiski koi misaal nahi...


jie jao isi alam main tum,
iske maze ka hisaab nahi....


nice one..rocket bhai...keep writing..!

Cheers!!!!

Devang Shah said...

Too good man .. continue writing. Is bar ki kavita samajh mein aaiya, last time ki nahi .. :(

Vijay said...

bahot kaam karlo , appraisal accha hoga yeh sohna pagalpan hai.
manager ko kush hoga , yeh sochna bhi ek pagalpan hai.
kavitaye likho , likhte raho , magar use sab padhenge yeh sochna pagalpan hai.

jaykay said...

nice one yaar but not ur best. and the last comment was hilarious.

Unknown said...

Kaun hai woh tumhare iss halat ka karan hai, mere dost yeh pagalpan nahi tumhare mohabbat ka junoon hai :)


Lage raho

Shruti said...

lovely...