Thursday, January 15, 2009

Ek Din ...

Manav roopi daitya ka attahaas sunkar hasna koii khel nahin hai
Ye duniya UP ki passenger hai koi metro rail nahin hai

Subah ka akhbaar dekh kar dil kush ho jaata hai
Kyunki aajkal uspe Katrina kaif ka full size photo aata hai

Ghar se baahar nikalte hi jo pahla hawa ko jhoka aata hai
Kya batayein aapko ke wo kaise humaare hosh uda le jaata hai

Waise to daftar ki doori meter 7 kilometer hi batlata hai
Par jab tak hum wahan pahuche neil Armstrong chaand se wapis aa jaata hai

Aur sur sangeet ki baat karein to marg mein waahan ka sangeet sunkar
Arjun ka mridangam bhi bhay se phoot jaata hai

Saayankaal ka kya bolein dil par dastak ho jaati hai
Jab haatho mein sandal pakde wo uchal uchal kar aati hai

Indradev ki kripa badi ke bin saavan ke rimjhim hai
Kahin sadko par carein doobi kahin bin baarish ka maatam hai

Ab ghar pahucho to amavas ke wo pal yaad aa jaate hain
Aur jab tak ye bijli aaye hum thak kar ke so jaate hai

3 comments:

Ravish said...

rocket bhai..ye justice nahi kia tumne..;)

Dheeraj said...

these are aftereffects of "emotional atyachar" of "billu barbar"

Ranjit said...

kaun billu/billi barbar ne yeh emotional aatyachar kiya jiski upaj ye piem hei..heh???