Sunday, May 25, 2008

Agar tum na hote Agar tum na hote

Ye chaahat naa hoti muhabbat naa hoti,
Ye sahmi si dil ki ye hasrart na hoti

Khayalon ko teri zaroorat naa hoti,
Sawaalo mein teri izaazat naa hoti

Naa hoti yoon dil ko lagane ki khwahish,
Naa hoti yoon dil ko churaane ki saazish

Naa nazarein churaate naa daaman churaate,
Naa hoti tere paas aane ki khwahish

Subah shaam sazde naa karte tumhaare,
Naa karte wafaa ke liye sabra saare

Naa hoti shab - e ghum shab - e aam hoti,
Naa dil ki ye hasrat tere naam hoti

Naa khushboo tumhaari fizaaoon mein udati,
Naa zulfoon se rangeen ye shaam hoti

Muhabbat naa hoti ye nafrat naa hoti,
Ye rangat humaari naa yoon tamaam hoti

Ajooba hai fir bhi muhabbat kari hai,
Ke nafrarat se badhkar ye chaahat kari hai

Tumhe aaj ho naa ho hai ye hakiquat,
Ke zannat se badhkar ye hasrat kari hai

Agar mil gaye tum to allah hi allah,
Hardam pukaara karega mera dil

Nahi gar mile to kya allah kya mandir,
Naa jaane kahan din gujaara karenge.

Thursday, May 22, 2008

Main Akela hi chala tha jaanibe manzil magar ...

Main Akela hi chala tha jaanibe manzil magar ...


Zindagi ke kuch aise lamhe jo yaadon mein bas jaate hai
Dost kahte hain ke ye humesha yaad aate hain ,

Nadi ke us paar subah ke dhoop mein chamakti ret ki kiranein
Fir baahein pasaar mujhko apne paas bulaati hain

Patjhar ki raahon mein bikhare wo kuch sookhe se peele se patte
Aaj bhi kaanon ke paas aakar kuch kah jaate hain

Khushboo manbhawan si us subah ki os ki
Jiski narmi mein sab kuch bhool jaane ko jee karta tha

Syaah raat mein raahon ko roshan karta juganuon ka kaafila
Aaj bhi raahon ki zagmagaht mein ubhar aata hai

Pal wo gujar chuke hain saathi wo bikhar chuke hain
Par raaste naye aur manzilein nayi har roz banana yaad aata hai

Aaj bhi ek mod par rukakar raah par baith jaaya karta hoon
Is intjaar mein ke koii to aayega waapis in raasto par kabhi

Yoon hi bina baat ke jhagde karega mujhse naaraj hoga, hasega,
Hasaayega fir rulaayega mujhe

Manzil ki or to nikal chuka hoon main raahon mein kaii meel
Par kya wo lamha koii lauta paayega mujhe ???

Tuesday, October 16, 2007

Tamanna

Tamanna kar loon tujhe pane ki Gar Izazat ho teri.
Aaina dhoondh wo laaoon jisme soorat ho teri,

Dil bahakta hai teri saans ke choo jaane se.
Nigahband kar loon tujhe Gar tu ibadat ho meri.

Saans lena bhi teri aas ke bin mushkil hai.
nabz chalna tere ehsaas, ke bin mushkil hai.

yu to jeeta hoon main, kahne ke liye e kafir.
main bhi peena wo teri pyas ke bin mushkil hai.

Aur tum kahte ho ke Zindagi yoon guzar jaayegi ...

Zindagi yoon guzar jaayegi bataya bhi nahin.
tabassum chookar guzar jaayegi jataya bhi nahin.

dekhta aks tera main ye jaanane ke liye.
hai teri aankh mein utra mera saaya ke nahin.

roobaroo hona mere ishq ki guzarish hai,
saath chalna wo tere husn ki navazish hai.

rooh se rooh ka milna bandagi hogi,
Gam-e-dil aaj mein lekar yahan aaya bhi nahin.

Saturday, October 13, 2007

sirf teri yaad aa rahi thi!

woh maagh ki ek raat thi,
chandni apne chaand ke saath thi,

kuhra kuch tarah chaa raha tha,
ke kchitij ko main apne aur nazdeek paa raha tha,

chai ke pyale se uthta dhunaa bhi,
us badhti huii sardi ka ehsaas kara raha tha,

kapkapate badhte kadmo ko fir bhi ye ehsaas hai,
ke aane waali manzil liye ek garmi ka ehsaas hai,

baglon mein dabe hue haath yoon machal rahe the,
jaise hum unhe pahli baar choone ko chal rahe the,

aankhon se tapakti wo boondein
hoothon ko mom ki tarah pighla rahi thi,

halki si chalti hawa meri gardan se hokar
meri rooh tak jaa rahi thi,

fir bhi har lamha har pal har uthte kadam ke saath
mujhe sirf teri yaad aa rahi thi,

sirf teri yaad aa rahi thi!

Friday, September 21, 2007

Aahwahan

Ahwahan hai prat ka fir huaa shankhanaad se,
Ab nisha ka yah anth hai ho raha shubhaprabhat se,

Shlok phir kar rahe hain watavaran anandmay,
Sugandhit punah vayu hai yah vismayi is dhoop se,

Hai rakth ranjit marg yah dhul chukka ashru prapat se,
Garjana kar fir uth rahi hai manavata is aaghat se,

Shatru bhayakrant hai dekh haath fir is haath mein,
Vichalit hui Ashanti fir hai gaganbhedi shaanti se,

Vibhatsya tha wah pristh vikaral kaal kapaal sa,
Prachanda dhwani ati ugra vikchipt man aaghat se,

Tha vayumandal surkh sooryasth ke us rang sa,
Tha yah drishyankan us swarg ke mohbhang sa.

Bhj rahi thi ghantiyan asankya par tha ek sur,
Kar rahe jan archana tha prarthana ka ek swar,

Par ek nar kunthit vicharon se pradarshit maarg par,
Kar gaya dooshit swarg ko aashankit ek aadhaar par.

Sunday, August 19, 2007

Secrets of a longer life and living happily ever after …

It was yesterday three of us were discussing about life, what is life? why live? and so on .. suddenly a phrase popped up
“Uparwaala achche logon ko jaldi upar bula leta hai” …

and non of us is in a hurry to go “up” … so here begins the real discussion …

What do we do to be considered as a bad person ???

And here bad means real bad ... bad for God so HE won’t consider you the next best soul around and call you up …

We discussed some of our so called bad habit’s drinking and laziness but it turned out that we are not as bad as the people who have a bad thinking process who are always thinking bad for the very next person …

“yaar apan ne kabhi kisi ka bura nahin kiya for that matter sochte bhi nahin hai yaar this means humaare paap ka ghada nahin bharne waala” …

“yaar kuch badhiya soch mere ko lamba jeene ka hai some kind of perfect paap jo bhagwaan bhi na ignore kar paaye ” “I should suffer in this hell for a looooong time”

“chal do chaar murder kar daalte hain”

“oae par ye soch … kisi bure insaan ko maara to duniya ka bhala kar rahe ho … aur agar kisi achche insaan ko maara to tu bhgwaan ke angle ka kaam kar raha hai … arre use God already upar bulana chaahta hai”

“That’s not paap … ”

“Hey lets cut a bargad ka ped … no no a mango tree … it has lots of medical benefits … it’s a shelter for lots of birds and bugs … jyada se jyada logon ka bura hoga ... it’s a perfect sin”

“oae kya aari leke poore din laga rahega ek ped kaatne”

“no we’ll use chainsaw”

“The Great Bangalore Chainsaw Masacre”

“bhai apan famous ho jaayenge … news papers headline, KalTak ki Breaking News … news reporter … we’ll become celebrity" …

"fir apan NGO’s ke saath lag jaayenge Mission ‘Save the Green Planet’ … we’ll go and plant the trees … thousands of them”

“nahin nahin Idea cancel … apan fir se duniya ka bhala karne lage and apna paap ka ghada khaali ka khaali”

“yaar teen engineer baith ke ek perfect paap nahin soch paa rahe ho … think of something big and real sin”

And the conversation went on with some really bad ideas which eventually turned out to be good and our mission to stay on this planet for a long time still nowhere …
Still in search of "A Perfect Sin" ...

Friday, July 6, 2007

Pagalpan

Khuli dhoop mein taaron ki timtimahat ko dhoondhna ek pagalpan hai !
Samandar ki anjaan laharon mein teri ek aahat ko dhoondhana ek pagalpan hai !

Bhatakta kyun hoon darbadar tere saaye ki talaash mein main !
Jaanta hoon main ke bahakti hawaon ko dhoondhana ek pagalpan hai !

Khudkushi kyun karoon jaanta hoon ke jab main zinda hi nahin !
Rooh meri hai wo jaati hui falak ke paar, udta huaa koii parinda wo nahin !

Tum aaoge, muskuraaoge, meri saanson ko choo kar chale jaaoge !
Is khushfahmi mein yoon mera din ba din jiye jaana ek pagalpan hai !

par main kahna chaahta hoon ...

jhilmil jhilmil jaisi aati chapal hansini jaisi tum ho!
jeevan mein ullaas jagati mridul mohini jaisi tum ho!

rang bhar rahi ho jeevan mein tum, sang chal rahi ho rahon mein tum !
moorchit pakchi ko udne ka ehsaas karane jaisi tum ho!

phoolon mein rang bharne waali julf teri hain ghatayein kaali !
oorja ka ehsaas tumhi ho jeevan ki badhti pyaas tumhi ho !

par tere ehsaas aur is pyaas ko yoon badhne dena ek paagalpan hai !
saanse tujhpar arpan karne ka vichar ek paagalpan hai !